Skip to main content

Insaan Ki 30 Galtiyan




INSAAN KI 30 GALATIYAN

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
.
:-Is Khayal Me Humesha Magan Rahena Ki Jawani Aur
Tandurusti Humesha Rahegi.
2-: Musibato Me Be Sabr Ban Kar Cheekh Pukar Karna.
3:- Apni Aqal Ko Sab Se Badh Kar Samjhna.
4:- Dushman Ko Haqeer Samjhna.
5:-Beemari Ko Mamuli Samjh Kar Shuru Me llaaj Na
Karna.
6:- Apni Raay Par Amal Karna Aur Dusro Ke Mashwaro
Ko Thukra Dena.
7:- Kisi Badkar Ko Bar Bar Aazma Kar Bhi Uski Chaplusi
Me Aa Jana.
8:- Bekari Me Khush Rahena Aur Rozi Talash Na Karna.
9:- Apna Raaz Kisi Dusre Ko Bata Kar Use Poshida
Rakhne Ki Takeed Karna.
10:- Aamdani Se Zyada Kharch Karna. 11:- Logo Ki Takleefo Me Shareef Na Hona Aur Unse
Imdad Ki Umeed Rakhna.
12:-Ek Do Hi Mulaqat Me Kisi Shaksh Ki Nisbat Koi
Achhi Ya Buri Raay Qayim Kar Lena.
13:- Walidain Ki Khidmat Na Karna Aur Apni Aulad Se
Khidmat Ki Ummeed Rakhna.
14:-Kisi Kaam Ko ls Khayal Se Adhura Chhod Dena Ki
Fir Kisi Waqt Mukammal Kar Liya Jaega. 15:-Har Shaksh Se Badi Karna Aur Logo Se Apne Liye
Neki Ki Ummeed Rakhna.
16:-Gumraho Ki Sohbat Me Uthna Baithna .
17-Koi Amle Saleh Ki Talqeen Kare To Us Par Dhayan
Na Dena.
18:-Khud Haram Wa Halal Ka Khayal Na Karna Aur
Dusro Ko Bhi Us Raha Par Lagana.
19-Jhuti Kasam Kha Kar Aur Jhut Bol Kar Dhoka De Kar
Apni Tijarat Ko Farig Dena.
20:- Ime Deen Aur Deendari Ko lzzat Na Samjhna.
21:- Khud Ko Dusro Se Behtar Samijhna.
22- Faqeero Aur Sayilo Ko Apne Darwaze Se Dhakka
De Kar Bhaga Dena.
23:-Zarurat Se Zyada Baat Cheet Karna. 24:- Apne Padosiyo Se Bigad Rakhna.
25:- Baadshaho Aur Ameero Ki Dosti Par Aitbar Karna.
26:- Khwah Makhwah Kisi Ke Gharelu Muamlat Me
Dakhal Dena.
27- Bagair Soche Samjhe Baat Karna.
28- Teen Din Se Zyada Kisi Ka Maheman Banna.
29-Apne Ghar Ka Bhed Dusro Par Zahir Karna.
30:- Har Shaksh Ke Saamne Apna Dukh Dard Bayan
Karna.

Comments

Popular posts from this blog

IMAM-E-A'ZAM KI WASIYYATAYN

TANDRUSTI KI HAALAT MAY KHAUF AUR UMMED KAY DARMIYAN RAHNA AUR ALLAH عزوجل PAR HUSN-E-ZAN RAKHTAY HUWAY MARNA, AUR QALB-E-SALEEM KAY SATH UMMED-E-MAGHFIRAT KA GHALABAH HO, BAYSHAK ALLAH عزوجل BAHUT BAKHSHNAY WALAMAHARBAN HAY IMAM-E-A'ZAM KI WASIYYATAYN  

SHABE JUMU'AH PARHNE KA DUROOD E PAAK

 SHABE JUMU'AH PARHNE KA DUROOD E PAAK   Shabe Jumu'ah parhne ka duroood Aur uski Fazilat بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ اَللّٰـــهُمَّ صَــلِّ وَسَلِّمْ وَبَارِكْ عَــلٰى سَيِّدِنَا وَمَوْلٰنَا مُحَــمَّدٍ نِ النَّبِيِّ الْاُمِّيِّ الْحَبِيْبِ الْعَالِي الْقَدْرِ الْعَظِيْمِ الْجَاهِ وَعَلٰی اٰلِهٖ وَصَحْبِهٖ وَبَارِك وَسَلِّم Buzurgaane deen farmate hai yeh Darood Shareef shab e jumu’ah (jumeraat o jumu’ah ke darmiyani raat) ko kam az kam ek martaba padhey.. Fazilat –  Inteqal ke waqt woh shakhs Huzoor Shafi e Mehshar ﷺ ki ziyarat se musharaf hoga. Aur qabr mein daakhil hote waqt bhi aur yaha tak iss Darood Shareef padhne ki fazilat hai ke padhne wala dekhega ke Huzoor e Akram ﷺ ussey apne haathon se qabr mein rakh rahey hai.